Take a fresh look at your lifestyle.

Zindagi Ittafaaq Hai Song Lyrics

0 548
Zindagi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai Song Lyrics

Zindagi Ittafaaq Hai, Kal Bhi Ittafaaq Thi Song Lyrics from Movie Aadmi Aur Insaan (1970). This Song sung Mahendra Kapoor. Music Given by Ravi & Lyrics by Sahir Ludhianvi. Star Cast of this movie are Dharmendra, Saira Banu, Feroz Khan, Mumtaz, Johnny Walker, Nazima, Randhwa, Ajit, Uma Dutt.

Movie Details

Movie: Aadmi Aur Insaan

Singer/Singers: Mahendra Kapoor

Music Director: Ravi

Lyricist: Sahir Ludhianvi

Actors/Actresses: Dharmendra, Saira Banu, Feroz Khan, Mumtaz, Johnny Walker, Nazima, Randhwa, Ajit, Uma Dutt

Year/Decade: 1970

Music Label: Saregama Music

Song Lyrics in English Text

Zindagi Ittafaaq Hai, Zindagi Ittafaaq Hai
Kal Bhi Ittafaaq Thi, Aaj Bhi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai

Jaam Pakad Badha Ke Haath Maang Dua Ghate Na Raat
Jaan-e-vafa Teri Qasam Kahte Hai Dil Ki Baat Ham
Gar Koyi Mel Ho Sake Aankho Ka Khel Ho Sake
Apne Ko Khush Nasib Jaan Vaqt Ko Meharabaan Maan
Milte Hai Dil Kabhi-kabhi Varna Hai Ajnabi Sabhi
Mere Hamdam Mere Meharabaan
Har Khushi Ittafaaq Hai, Har Khushi Ittafaaq Hai
Kal Bhi Ittafaaq Thi, Aaj Bhi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai

Husn Hai Aur Shabaab Hai Zindagi Qaamayaab Hai
Bazm Yun Hi Khili Rahe Apani Nazar Mili Rahe
Rag Yun Hi Jamaa Rahe Vaqt Yu Hi Thama Rahe
Saaz Ki Lay Pe Jhum Le Zulf Ke Kham Ko Chum Le
Mere Kiye Se Kuchh Nahi Tere Kiye Se Kuchh Nahi
Mere Hamdam Mere Meharabaan
Ye Sabhi Ittafaaq Hai, Ye Sabhi Ittafaaq Hai
Kal Bhi Ittafaaq Thi, Aaj Bhi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai, Zindagi Ittafaaq Hai

Koi To Baat Kijiye Yaaro Ka Saath Dijiye
Kabhi Gairo Se Bhi Apno Ka Gumaan Hota Hai
Kabhi Apne Bhi Najar Aate Hai Begaane Se
Kabhi Khwabo Me Chamakte Hai Muraado Ke Mahal
Kabhi Mahalo Me Ubhar Aate Hai Viraane Se
Koi Rut Bhi Sada Nahi Kya Hoga Kuch Pata Nahi
Gum Fizul Hai Gum Na Kar Aaj Ka Jashn Kam Na Kar
Mere Hamdam Mere Meharabaan
Har Khushi Ittafaaq Hai
Kal Bhi Ittafaaq Thi, Aaj Bhi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai

Khoye Se Ho Kyu Is Kadar Dhundhti Hai Kise Najar
Aaj Maalum Hua Pehle Ye Maalum Na Tha
Chahte Badh Ke Pashemaan Bhi Ho Jaati Hai
Dil Ke Daaman Se Lipatati Hui Rangin Najare
Dekhte Dekhte Anjaan Bhi Ho Jaati Hai
Dekhte Dekhte Anjaan Bhi Ho Jaati Hai
Yaad Jab Ajnabi Bane Yaad Jab Berukhi Bane
Dil Pe Seh Ja Gila Na Kar Sabse Haskar Mila Najar
Mere Hamdam Mere Meharabaan
Dosti Ittafaaq Hai
Kal Bhi Ittafaaq Thi, Aaj Bhi Ittafaaq Hai
Zindagi Ittafaaq Hai

Song Lyrics in Hindi Font

ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है
कल भी इत्तिफ़ाक़ थी, आज भी इत्तिफ़ाक़ है
ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है…

जाम पकड़, बढ़ा के हाथ, माँग दुआ, घटे न रात
जान-ए-वफ़ा, तेरी क़सम, कहते हैं दिल की बात हम
ग़र कोई मेल हो सके, आँखों का खेल हो सके
अपने को ख़ुशनसीब जान, वक़्त को मेहरबान मान
मिलते हैं दिल कभी-कभी, वरना हैं अजनबी सभी
मेरे हमदम, मेरे मेहरबाँ
हर ख़ुशी इत्तिफ़ाक़ है
कल भी इत्तिफ़ाक़ थी, आज भी इत्तिफ़ाक़ है
ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है…

हुस्न है और शबाब है, ज़िन्दगी क़ामयाब है
बज़्म यूँ ही खिली रहे, अपनी नज़र मिली रहे
रंग यूँ ही जमा रहे, वक़्त यूँ ही थमा रहे
साज़ की लय पे झूम ले, ज़ुल्फ़ के ख़म को चूम ले
मेरे किये से कुछ नहीं, तेरे किये से कुछ नहीं
मेरे हमदम, मेरे मेहरबाँ
ये सभी इत्तिफ़ाक़ है
कल भी इत्तिफ़ाक़ थी, आज भी इत्तिफ़ाक़ है
ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है…

कोई तो बात कीजिये, यारों का साथ दीजिये
कभी गैरों के भी अपनों का गुमां होता है
कभी अपने भी नज़र आते हैं बेगाने से (वाह वाह!)
कभी ख़्वाबों में चमकते हैं मुरादों के महल
कभी महलों में उभर आते हैं वीराने से
कोई रुत भी सदा नहीं, क्या होगा भी कुछ पता नहीं
गम फिज़ुल है, गम ना कर, आज का जश्न कम ना कर
मेरे हमदम, मेरे मेहरबां
हर खुशी इत्तिफ़ाक़ है
कल भी इत्तिफ़ाक़ थी, आज भी इत्तिफ़ाक़ है
ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है…

खोये से क्यूँ हो इस कदर, ढूंढती है किसे नज़र
आज मालूम हुआ, पहले ये मालूम न था
चाहतें बढ़ के, पशेमान भी हो जाती हैं (अच्छा?)
दिल के दामन से लिपटती हुई रंगीं नज़रें
देखते-देखते अन्जान भी हो जाती हैं
देखते-देखते अन्जान भी हो जाती हैं
यार जब अजनबी बने, यार जब बेरुखी बने
दिल पे सह जा, गिला न कर, सबसे हँसकर मिला नज़र
मेरे हमदम, मेरे मेहरबाँ
दोस्ती इत्तिफ़ाक़ है
कल भी इत्तिफ़ाक़ थी, आज भी इत्तिफ़ाक़ है
ज़िन्दगी इत्तिफ़ाक़ है…

Note: For any mistake in Lyrics kindly let us know !!

Leave A Reply

Your email address will not be published.